Khawab toot jatay hain
bheer mein zamanay ki
haath choot jatay hain
dost daar lehjay mein
silwatein si parti hain
ik zara si ranjish se
shak ki zard tehni per
phool badgumani k is tarha se khiltay hain
zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain
ghair ban k miltay hain
umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta
khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai
aur sira nahi milta
maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti
lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti
phool rang waadon k, khawab toot jatay hain
manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai
be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se
faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai
khaak urnay lagti hai
khawab toot jatay hain, waahmon k saaey se
umer bhar ki mehnat ko, pal mein loot jatay hain
ik zara si ranjish se saath toot jatay hain .......
Wednesday, July 23, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment