Tum Meri Aankh Ke Tevvar Naa Bhula Paaoge
An Kahi Baat Ko Samajhoge to Yaad Aaongaa
Humne Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Ikhatey Dekhe
Safaah-e-zeest Ko Paltoge To Yaad Aaongaa
Isii Andaaz Mein Hotey The Mukhatib Mujh Se
Khat kisi Aur Ko Likho Ge To Yaad Aaongaa
Sard Raaton Ke Mehakte Huwe Sanaaton Mein
Jab kisi Phool Ko Choomoge To Yaad Aaongaa
Ab Teray Ashk Mein Honton Se Chura leta Hoon
Haath Se Khud Inhain Ponchoge To Yaad Aaongaa
Shaal Pehnaye Ga Ab Kaun December Mein Tumhain
Baarishon Mein Kabhi Bheegoge To Yaad Aongaa
Aaj to Mehfil-e-Yaaran Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot Ke Bikhroge To Yaad Aaongaa
Haadsay Aayenge Jeevan Mein To Tum Ho ke Nidhaal
Kisi Deevaar Ko Thamogay To Yaad Aaongaa
Is main Shaamil Hai Meri Bakht ki Taariki Bhi
Tum Siyaah Rang Jo Pahnoge To Yaad Aaongaa
Wednesday, July 23, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment